Pages

Saturday, 12 July 2014

Pyas Wo Dil Ki Bujhane Kabhi Aya Bhi Nahin




Pyas Wo Dil Ki Bujhane Kabhi Aya Bhi Nahin
Kaisa Badal Hai Jiska Koi Saya Bhi Nahin


Berukhi Is Se Bari Aur Bhala Kya Hogi
Ek Muddat Se Hamein Us Ne Sataya Bhi Nahin


Roz Ata Hai Dar-E-Dil Pe Wo Dastak Dene
Aj Tak Hamne Jise Pas Bulaya Bhi Nahin


Sun Liya Kaise Khuda Jane Zamane Bhar Ne
Wo Fasana Jo Kabhi Hamne Sunaya Bhi Nahin


Tum To Shayar Ho 'Qateel' Aur Wo Ik Am Sa Shakk
  Us Ne Chaha Bhi Tujhe Aur Jataya Bhi Nahin





Iss Baarish Say Pehly

Tum Mere Nahi Bata Jao Iss Baarish Say Pehly
Apne Naqsh Sabi Mita Jao Iss Baarish Say Pehly

Wo Jo Diary Mein Kuch Phool Parry Hain Ab Bhi
Un Ki Khushboo Urra Jao Iss Baarish Say Pehly

Rafta Rafta Hawae'n Rukh Badil Rahi Hain Apna
Tum Bhi Sambhal Jao Iss Baarish Say Pehly

Phir Jo Barsay To Tout K Barsay Baadal
Tum Hakeekat-E-Dill Dikha Jao Iss Baarish Say Pehly

Lagta Hai K Baadal Khoub Barsay ga Amber
Tum Ghar Ko Lout Jao Iss Baarish Say Pehly


Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Bananay Waalay

Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Bananay Waalay
Ab Na Aayein Ge Palat Kar Kubhi Jaanay Waalay

Kia Milay Ga Tujhe Bikhray Howay Khwaabon Ke Siwa ?
Ay Rait Pe Chaand Ki Tasveer Banaanay Waalay

Sab Ne Pehna Tha Baday Shoq Se Kaghaz Ka Libaas
Jis Qadar Loog Thay Baarish Mein Nahaanay Waalay

Mar Gaye Hum Tou Ye Qutbay Pe Likha Jaye Ga
So Gaye Aap Zamaanay Ko Jagaanay Waalay

Dar-o-Deewaar Pe Hasrat Si Barasti Hai “Qateel”
Jaanay Kis Dais Gaye Pyaar Nibhaanay Waalay ?



Darwaza Jo Khola

Darwaza Jo Khola To Nazar Aaye Kharre Woh
Hairat Hai Mujhe Aaj Kidhar Bhool Parre Woh

Bhoola Nahin Dil Hijr Ke Lamhaar Karray Woh
Raatein To Barri Theen Hi Magar Din Bhi Barre Woh

Kyun Jaan Pe Ban Aayi Hai Bigrra Hai Agar Woh
Uss Ki To Yeh Aadat Ke Hawaaon Se Larre Woh

Alfaaz They Us Ke Ke Bahaaron Ke Peyamaat
Khushbuu Si Barasney Lagi Yoon Phool Jharre Woh

Har Shakhs Mujhe Tujhse Juda Karne Ka Hwa’haan
Sun Paaye Agar Aik To Dass Ja Ke Jarre Woh

Bachey Ki Tarah Chaand Ko Choonay Ki Tammana
Dil Ko Koi Shay Dede To Kya Kya Na Array Woh

Tufaan Hai To Kya Gham Mujhe Awaz To Di Jiye
Kya Bhool Gaye Aap Mere Kachay Gharre Woh



Marney Se Bhi Pehle Mar Gaye They

Marney Se Bhi Pehle Mar Gaye They
Jeeney Se Kuch Aese Dar Gaye They

Rastey Mein Jahan Talak Diye They
Saarey Mere Hamsafar Gaye They

Aankhain Abhi Khul Nahin Saki Thi’n
Aur Khawb Mere Bikhar Gaye They

Jab Tak Na Khila Tha Us Ka Waada
Mausam Mere Be’samar Gaye They

Ab Tak Wohhi Nasha E Paziraayi
Kya Jaaniye Hum Kidhar Gaye They



huyi aankh num

huyi aankh num aur ye dil muskuraaya
 to saathi koi bhula yaad aaya ha aaya saathi koi bhula yaad aaya
mohabbat ka jab bhi kahin zikr aaya
 to saathi koi bhula yaad aaya ha aaya saathi koi bhula yaad aaya
kya yahi pyaar karne ka anjaam hai
dil lagaane ka ye kaisa inaam hai
hansi jisko di hai usine rulaaya
 to saathi koi bhula yaad aaya ha aaya saathi koi bhula yaad aaya
is tarah rasme ulfat ada kijiye
dil kisika na toote duwa kijiye
kabhi reth par ghar kisine banaaya
 to saathi koi bhula yaad aaya ha aaya saathi koi bhula yaad aaya
rooth jaate hain banke muqaddar yahaan
chhoot jaate hain haathon se saagar yahaan
 kabhi sard shabanam ne koi ghar jalaaya
to saathi koi bhula yaad aaya ha aaya saathi koi bhula yaad aaya
huyi aankh num aur ye dil muskuraaya to saathi koi bhula yaad aaya ha aaya saathi koi bhula yaad aaya



O Ajnabee Mere Ajnabee…

O Ajnabee Mere Ajnabee…
Na Jaane Tum Kahan Chale Gaye Ho
Yaad Mujhe Tum Kitna Aa Rahe Ho
Suni Si Hai Dil Ki Gali
O Ajnabee Mere Ajnabee

Tere Pyaar Ki Nishaniya
Ban Gayi Kahaniya
Phir Se Mohabbat Phir Kaise Main Pyaar Karoon
Phir Se Wafa Ka Kaise Mein Ikraar Karoon
Tere Pyaar Mein Main To Dhali
O Ajnabee Mere Ajnabee

Kis Se Kahoon Pareshaaniya
Dil Pe Kar Ja Meherbaaniya
Pal Jo Beete To Lambi Judaai Hui
Ek Ek Pal Mein To Parai Hui
Aakar Mujhe Le Ja Abhi
O Ajnabee Mere Ajnabee…






 

In Aankhon Ki Masti Ke Mastaane Hazaaron Hain

In Aankhon Ki Masti Ke Mastaane Hazaaron Hain

In Aankhon Se Vaabastaa Afasaane Hazaaron Hain

Ik Tum Hii Nahin Tanhaa, Ulafat Mein Meri Rusavaa

Is Shahar Mein Tum Jaise Diivaane Hazaaron Hain

Ik Sirf Ham Hii May Ko Aankhon Se Pilaate Hain

Kahane Ko To Duniyaa Mein Mayakhaane Hazaaron Hain

Is Shamm-E-Farozaan Ko Aandhii Se Daraate Ho

Is Shamm-e-Farozaan Ke Paravaane Hazaaron Hain


In Aankhon Ki Masti Ke Mastaane Hazaaron Hain

HUM BEWAFA HARGIZ NA THE

Hum bewafa hargiz na the
Par hum wafa kar naa sake

Humko mili uski sazaa
Hum jo khata kar naa sake

Hum bewafa hargiz na the
Par hum wafa kar naa sake


Kitni akeli thi woh rahen hum jinpe
Ab tak akele chalte rahen

Tujhse bichhad ke bhi o bekhabar
Tere hi gham mein jalte rahen

Tune kiya jo shiwa
Hum woh gila kar naa sake

Hum bewafa hargiz na the
Par hum wafa kar naa sake








Tumne jo dekha suna sach tha magar
Itna tha sach yeh kisko pataa

Jaane tumhe maine koi dhokha diya
Jaane tumhe koi dhokha hua

Is pyaar mein sach jhooth kaa
Tum faisla kar naa sake

Hum bewafa hargiz na the
Par hum wafa kar naa sake



MUJHY TUM SE MOHABAT HAI..

TUM KEHTE HO TUMHEIN PHOOLON SE MOHABAT HAI..

PER JAB PHOOL KHILTEY HAIN..

INHEIN TUM TOR LETEY HO..

TUM KEHTE HO TUMHEIN BARISH SE MOHABAT HAI..

PER JAB BARISH HOTI HAI,..

TUM CHHUPTEY PHIRTEY HO..

TUM KEHTEY HO TUMHEIN HAWAON SE MOHABAT HAI..

PER JAB HAWAEIN CHALTI HAIN..

TUM KHIRKIYAN BAND KER LETEY HO..

MAIN US WAQAT SE DAR SI JATI HOON SAHIB

JA TUM KEHTEY HO ..

MUJHY TUM SE MOHABAT HAI..



Begunnah

USAY KEHNA!!

JAB SAZA DY HI CHUKEY  HO TO HAAL NA POCHNA..

HUM AGER BEGUNNAH NIKALY TO TUMHEIN AFSOS HO GA..



zehar lagtey ho..

TUM BHT DILNASHEEN THEY PER JAB SE..

HO GAYE HO AANA PERSAAT...


ZEHER LAGATY HO!!!!!!!!




HER DARD TAAL DETA HAI..

WO MUSKURA KER HER DARD TAAL DETA HAI..

KISI KIS KO KHUDA YEH KAMAL DETA HAI..

NAZAR UTHA K WO JIS KO DEKH LY AIK BAAR..

YAKEEN KRO USEY MUSHKIL MAIN DAAL DETA HAI..


JO MERA NASEEB THA MIL GAYA..

JO MERA NASEEB THA MIL GAYA..

JO CHEENAH HAI MUJHY SE MERA NA THA..

TERA DIL JAB YEH SAMJH GAYA..

TO KOI KAMI NA RULAYE GI...!!!




MUJHY ADAT HAI USEY MANANAY KI!!!!

Meri Maiyat per Kafan na dalo!

Mujhy adat hai muskurane ki..

Mere janazey ko na ly jao..'

Umeed hai mere dost k aney ki..

Der ho jaye to  kuch na kehna..

Usey adat hai  mujhy sataney ki..

Agar naraz ho to Aye Yaaro!!

Koshish kerna usey Mananay ki..

Jab chala jaye dekh k meri Maiyat..

Phr tyari kerna jaldi mujhy dafnana ki..

KYUN K..

Agar wo palat aya..

aur mujhy dekh ker Ro pera..

To

Meri saansein wapis na aa jeyein

KYUN K!!

MUJHY ADAT HAI USEY MANANAY KI!!!!



Apunoo se dour rehta hoon!

log mujh se mil ker bicher jatey hain..

Is liye main logo se dour rehta hoon..


Mat smjho k atey nehi aadab e mulaqat mujhy..

Khuloos ka basi hoon , aadat se majboor rehta hoon..


Jin se barha mera Rabta, ghum hi mila..

Ab rabta nehi barhata, bht masrof rehta hoon..


Log kehte hain be-marawat aur khud gharz mujhy..

Kitne ache Namoo se mashoor rehta hoon..


Her waqt khoya rehta hoon. khud hi ki talash main..

Bht thak gaya hoon..  Apunoo se door rehta hoon..


Naraz na mujh se hua kro!!

Tum beshak ly lo meri jaan..

Bechain rakho din raat mujhy..

Tarsaya kro

Tarpaya kro

Chahy milne bhi na aya kro..

Aur waday bhi na pore kro..

Chahey Qiad rakho tum khawabon main..

Din raat rakho Azabon main..

Meri ankhon ko purnum ker do..

Aur zindagi Paiker e Ghum ker do..

Lekin!

MERI DUKHTI RUG NA CHUAA KRO..

 NARAZ NA MUJH SE HUA KRO..

BS

NARAZ NA MUJHY SE HUA KRO!!!!!!!!!!!