Pages

Saturday 12 July 2014

Darwaza Jo Khola

Darwaza Jo Khola To Nazar Aaye Kharre Woh
Hairat Hai Mujhe Aaj Kidhar Bhool Parre Woh

Bhoola Nahin Dil Hijr Ke Lamhaar Karray Woh
Raatein To Barri Theen Hi Magar Din Bhi Barre Woh

Kyun Jaan Pe Ban Aayi Hai Bigrra Hai Agar Woh
Uss Ki To Yeh Aadat Ke Hawaaon Se Larre Woh

Alfaaz They Us Ke Ke Bahaaron Ke Peyamaat
Khushbuu Si Barasney Lagi Yoon Phool Jharre Woh

Har Shakhs Mujhe Tujhse Juda Karne Ka Hwa’haan
Sun Paaye Agar Aik To Dass Ja Ke Jarre Woh

Bachey Ki Tarah Chaand Ko Choonay Ki Tammana
Dil Ko Koi Shay Dede To Kya Kya Na Array Woh

Tufaan Hai To Kya Gham Mujhe Awaz To Di Jiye
Kya Bhool Gaye Aap Mere Kachay Gharre Woh



No comments:

Post a Comment