Pages

Monday, 1 December 2014

Koi jazba adhoora reh geya hai,

Koi jazba adhoora reh geya hai,
December aansu’on mein beh geya hai,
Yeh dil khamosh ho kar reh geya hai,
Najane aaj woh kya keh geya hai,
Yeh aannkhain hain hamari kitni gehri,
Samundar mein samundar beh geya hai,
Tumhare sath wabasta tha sab kuch,
Siwaye yaad ke kya reh geya hai,
Palat kar dekhne per hum ne jana,
Dil-e-nadaan kya kya seh geya hai,
Bohat bheerr hai bazaron mein lekin,
Tera ............ akela reh geya hai..

December phir se aaya hai,

Phir iss sard mausam main, zara na chain se soyen ge,
December phir se aaya hai, phir se mil ke royen ge..

Yaad dilaata hai

Yaad dilaata hai sardd mausam,
Kisi ke lehjeyy ka sardd hona..

December ageya jaana,

December ageya jaana,
Ke phir ek saal,
Teri yaad ke samandar mein,
Utar kar jane wala hai,
Yeh dil phir roney wala hai,

Tumhe kuch yaad hai jaana,
Isi pichle december mein,
Tumhi ne mujh ko likha tha,
Ke neya jo saal aye ga,
Us mein mil ke rehna hai,
Bohat se pyar ke vaadey,
Bohat si ankahi baten,
Humain tehreer karni hain,
Mohabbat ki neyi nazmein,
Humein is baar likhni hain,

Magar janaa,
Wohi raten,
Wohi shaamen,
Wohi khushbu,
Wohi nazmen,
Mujhe har waqt kehti hain,
December loat aya hai,
Magar, tera sathi nahin aya,
December ageya jaana..
December ageya jaana….

December maar daale ga..

Tumhare baad guzrein ge bhala kese hamare din,
November se bachen ge to december maar daale ga..