Pages

Saturday, 12 July 2014

huyi aankh num

huyi aankh num aur ye dil muskuraaya
 to saathi koi bhula yaad aaya ha aaya saathi koi bhula yaad aaya
mohabbat ka jab bhi kahin zikr aaya
 to saathi koi bhula yaad aaya ha aaya saathi koi bhula yaad aaya
kya yahi pyaar karne ka anjaam hai
dil lagaane ka ye kaisa inaam hai
hansi jisko di hai usine rulaaya
 to saathi koi bhula yaad aaya ha aaya saathi koi bhula yaad aaya
is tarah rasme ulfat ada kijiye
dil kisika na toote duwa kijiye
kabhi reth par ghar kisine banaaya
 to saathi koi bhula yaad aaya ha aaya saathi koi bhula yaad aaya
rooth jaate hain banke muqaddar yahaan
chhoot jaate hain haathon se saagar yahaan
 kabhi sard shabanam ne koi ghar jalaaya
to saathi koi bhula yaad aaya ha aaya saathi koi bhula yaad aaya
huyi aankh num aur ye dil muskuraaya to saathi koi bhula yaad aaya ha aaya saathi koi bhula yaad aaya



No comments:

Post a Comment