Pages

Friday 18 July 2014

Jis din se juda woh humse hue, is dil ne dhadakna chhod diya,

 Woh mera raunak-e-mehfil kahan hai
 Meri bijli, mera haasil kahan hai
 Mukaam uska hai dil ki khalbaton mein
 Khuda jaane mukaam-e-dil kahan hai
 
 Jis din se juda woh humse hue, is dil ne dhadakna chhod diya,
 Is dil ne dhadakna chhod diya
 Hai chand ka munh utra utra, taaron ne chamakna chhod diya,
 Taaron ne chamakna chhod diya
 
 Woh paas hamare rehte they, berut bhi bhahaar aa jaati thi

 Ab laakh bhahaarein aayein to kya, ab laakh bhahaarein aayein to kya
 Phoolon ne mahakna chhod diya, phoolon ne mahakna chhod diya
 Hai chand ka munh utra utra, taaron ne chamakna chhod diya,
 Is dil ne dhadakna chhod diya
 
 Humraah koi, saathi bhi nahin, ab yaad koi baaki bhi nahin

 Ab phool khile jakhmon ke kya, ab phool khile jakhmon ke kya,
 Aankhon ne barasna chhod diya,
 Aankhon ne barasna chhod diya
 Hai chand ka munh utra utra, taaron ne chamakna chhod diya,
 Is dil ne dhadakna chhod diya
 
 Humne yeh duvaa jab bhi maangi, taqdeer badal de aye maalik

 Awaaz aayi ke ab humne, awaaz aayi ke ab humne, taqdeer badalna chhod diya,
 Taqdeer badalna chhod diya
 Hai chand ka munh utra utra, taaron ne chamakna chhod diya,
 Taaron ne chamakna chhod diya
 Jis din se juda woh humse hue, is dil ne dhadakna chhod diya,
 Is dil ne dhadakna chhod diya
 Jis din se juda woh humse hue, is dil ne dhadakna chhod diya,
 Is dil ne dhadakna chhod diya
 Hun hun hun... aa aa aa...
 
No comments:

Post a Comment